جس سر کو عرور آج ہے یاں تاجوری کا کل اس پہ یہیں شور ہے پھر نوحہ گری کا
jis sar ko ghurur aaj hai yaañ tāj-varī kā
kal us pe yahīñ shor hai phir nauhagarī kā
the head that's held high today because it wears a crown
tomorrow, here itself, in lamentation will drown
شرمندہ ترے رخ سے ہے رخسار پری کا چلتا نہیں کچھ آگے ترے کبک دری کا
sharminda tere rukh se hai rukhsār parī kā
chaltā nahīñ kuchh aage tere kabk-e-darī kā
your face puts the beauty of the angels all to shame
to your graceful gait compared, appears the partridge lame
آفاق کی منزل سے گیا کون سلامت لٹا راہ میں یاں ہر سفری کا
āfāq kī manzil se gayā kaun salāmat
asbāb luTā raah meñ yaañ har safarī kā
from worlds of these horizons who did ever safe depart?
Way-laid and empty handed each traveller did part
یں بھی شورش نہ گئی اپنے جنوں کی
سنگ مداوا ہے
تہ سری کا
zindāñ meiñ bhī shorish na gaī apne junūñ kī
ab sang mudāvā hai is āshufta-sarī kā
even while imprisoned, did my craziness endure
Seems now for my insanity, stoning is the cure
ہر زخم جگر داور محشر سے ہمارا انصاف طلب ہے تری بیداد گری کا
har zakhm-e-jigar dāvar-e-mahshar se hamārā
insāf-talab hai terī bedād-garī kā
each heart's wound, on judgement day, to God submits a plea
Seeking justice, recompense against your cruelty
ر موسم گل ہم کو تہ بال ہی گزرے د مقدور نہ دیکھا کھو بے بال و پری کا
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bāl hī guzre
maqdūr na dekhā kabhū be-bāl-o-parī kā
with head tucked under arm, a hundred springs I stayed
The power of my winglessness I have never assayed
اپنی تو جہاں آنکھ لڑی پھر وہیں دیکھو آئینے کو لپکا ہے پریشاں نظری کا
apnī to jahāñ aañkh laṇī phir vahīñ dekho
ā.īne ko lapkā hai pareshāñ-nazarī kā
whoever did enchant my eye there only did I stare
whereas the mirror's eye is prone to darting here and there
کل سیر کیا ہم نے سمندر کو بھی جا کر هتا دست نگر پنجۂ مژگاں کی تری کا
kal sair kiyā ham ne samundar ko bhī jā kar thā
dast-e-nigar panja-e-mizhgāñ kī tarī kā
yesterday to view the ocean too I had gone near
It,longingly, evening my teary lashes did appear
لے سانس بھی آہستہ کہ نازک ہے بہت کام آفاق کی اس کارگہ شیشہ گری کا
le saans bhī āhista ki nāzuk hai bahut kaam
āfāq kī is kārgah-e-shīshagarī kā
breathe softly as with fragility here all is fraught
in this workshop of the world where wares of glass are wrought
تک میر جگر سوختہ کی جلد خبر لے کیا یار بھروسا ہے چراغ سحری کا
Tuk 'mīr'-e-jigar-sokhta kī jald khabar le
kyā haar bharosā hai charāġh-e-saharī kā
after Mir of burning heart, you should quickly enquire
for who can say how long the morning lamp will be afire?